kya tujhe yaad hai
chupke chupke raat din aansu bahanaa yaad hai
Hum ko ab tak aashiqi kaa vo zamaanaa yaad hai,
tujhase milte hi wo kuch bebaak ho jaanaa meraa
Aur teraa daaton mein wo ungali dabaanaa yaad hai,
chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah
muddatein guzarin par ab tak wo thikanna yaad hai,
Do-pahar ki dhoop mein mere bulane ke liye
wo teraa kothe pe nange paaon aanaa yaad hai,
Baahazaarn iztiraab-o-sad-hazaaraan ishtiyaaq
tujse vo pahal dil kaa lagaanaa yaad hai,
jaan kar sotaa tujhe wo qasa-e-paabosi meraa
aur teraa thukaraa ke sar wo muskuraanaa yaad hai,
tuj ko jab tanhaa kabhill paanana to az-raah-e-lihaaz
Hal-e-dil baatoon hi baatoon mein jataanaa yaad hai
jab siwaa mere tumhaaraaa koi diwaanaa na thaa
sach kaho kyaa tum ko bhi wo kaarkhaanaa yaad hai,
Gair kii nazarron se bachakar sab kii marzi ke khilaf
wo teraa chori chhipe raton ko aanaa yaad hai,
Aa gaya gar vasl kii shab bhi kahin zikar-e-firaaq
wo teraa ro ro ke mujhako bhii rulaanaa yaad hai,
Dakhanaa mujhako jo bargashtaa to sau-sau naaz se
jab manaa lenaa to phir khud ruuth jaanaa yaad hai,
Berukhi ke saath sunaanaa dard-e-dil kii dastaan
aur teraa hathoon mein wo kangan ghumaanaa yaad hai
Waqt-e-rukhsat alviddaa ka lafzkahne ke liye
wo tere sukhe labon kaa thar tharaanaa yaad hai,
Baavajuud-e-iddaa-e-ittaqaa hasrat mujhe
aaj tak ahad-e-havas kaa ye fasaanaa yaad hai.
0 Comments:
Post a Comment